Amir Nishan -
Revisited
Aligarh apni university aur talon
ke karobaar k alawa ek aur cheez k liye mashoor hai….Ameer Nishan. Duniya k
kissi koney mein rehne waley kisi bhi Alig se jab Ameer nishan ka zikr kijiye
to ek chamak unke chehrey per aa jati hai….unki koi na koi yaad is jagah se
zarur munsalik hogi…….main jab apne do bachpan k doston ke saath New York k
times square ghoomne pahuncha unmein se ek ne is jagah ka tarruf ye keh karaya
k “ ye yahan ka Ameer Nishan hai”………
Ameer Nishan bataur bazaar
mashoor hai aur is bazaar ki ahmiyat ka andaza yun lagaiye k hamari ek bahan jo
dilli mein rehti hain har dedh do
maheene baad Ameer Nishan se shopping karne Aligarh aati hain…….ek doosri bahen
jo Amreeka rehti hain apne kapre silne yahan bhejti hain……… …………….ye parh k
agar kisi ke zehan mein Ameer Nishan ka south-Ex type market ya Chandigarh ke sector
17 ka naqsha ubharta hai to bata dun, ye sirf ek patli si sadak hai jo
taqreeban ek kilometer ya ussey kuch kam lambi hai jiske dono taraf choti choti
dukanein hain……khaleej mein rehne waley ek dost ne is jagah ka naam itna suna
tha k jab wo kissi shadi mein shareek honey Aligarh aye aur is bazaar ko
dekne gayeto isey dekh kar jo mayusi
unhe huee wo naqabil-e-bayan hai……….badi mushkil se unhe samjhaya gaya ki is
jagah ko samajhne k liye Aligarh mein kuch arsa rehna zaruri hai…….
Ameer Nishandarasl ek kothi ka
naamhai jisko k suna hai Sultana daku ki
bewa ne banwayi thi, jinhone shauhar k inteqal k baad usi police
afsar se nikah kar liya jisne uske shauhar ko pakra tha…hamarey bachpan mein ye
jagah khaasi sunsaan si thee aur hum jagah jagah maidanon mein gilli danda,
kanchey aur cricket kheltey ya patange
udate they…..80 ki dahai tak Amir Nishan chaurahey par kul mila k 8-10 dukanein
theen jinpar raunaq Abdullah school ki chutti k waqt zada nazar aati thee….kuch
to waqaee khareed farokht waley hotey,
they kuch khamakha ke nazrein senkne waley hotey they …….jisko Aligarh ki zaban
mein vitamin G (girls) kehtey they ya shay dab bhi kehtey hongey………….
Chaurahey k bilkul koney par
Nanhe mamu ka Charminar hotel hua karta tha jismein na to minar thee na hi wo hotel
tha….ek chai ki dukan thee jiske side waley cotey se maidan mein kursiyan aur mez dali huee theen
jahan log chai ki chuski letey they…..Nanhe mamu Aligarh ke chaltey phirtey google they jinhe shahar
ke tamaam logon ke baarey mein shajrey samet pata tha……
Charminar khas taur par Ameer
Nishan ki ziyarat k liye aaye logon ka markaz tha jo bahot bahot door se khaas
taur per Abdullah ki chutti k waqt aaya kartey they aur kisi “khaas” rikshey ya
cycle ke intzar mein baith kar chai
peetey …… kuch mahaz deedar karke khush ho jaatey , kuch saath saath peechey
peechey unko gharon tak chor kar aatey ……aisi ek tarfa road romance ki bahut si
kahaniyan bina kisi nateejey k saalon tak chalti theen ……..Ameer Nishan ke kuch
tourists aisey bhi hotey jo Sir Syed
nagar mein rehtey they magar Art Faculty via Ameer Nishan jatey …………aisey kuch
mehman aksar hamaarey ghar bhi waqt be waqt tapak partey , jinhe chai pilaye baghair tarkana mushkil hota
tha……..
Chaurahey k ek koney par Haseen
bhai ki dukan “Biscuit Corner” k naam se thee aur samaan se zyada ye dukan Haseen bhai ki jumle
baazi k liye mashhoor thee…..chaurahey se guzarne wali larkiyon ki koshish
rehti thee k wo jitna mumkin ho sakey is dukan se bachkar niklein…..mera maqsad
larkiyon ko cherne ko badhawa dene ka nahee hai lekin Haseen bhai k kuch jumle
itne mashhoor ho jatey they jinhe log aksar doosrey mauqon par bhi istemaal kar
liye kartey ……iske alawa unke fiqrey
itne mazedar hotey ki jis par kasey
jatey wo bhi iska maza leti nazar ati
theen …………….Sridevi ki film Chandni un dinon bahot maqbool huee aur safed
salwar qameez ka libas larkiyon mein khasa hit ho gaya.. ek saheba bahot hi
saleeqey se safed libas mein rickshey mein baithee Haseen bhai ki dukan ke
samney se jab guzreen to Haseen bhai ek lambi saans lekar zor se boley “ kya zamana aa gaya yaaron, merey zinda rehtey hue bewa ka libaas
pahan rakha hai”………….aas paas ke logon k alawa un saheba ko bhi hansee rokna
mushkil ho gaya……….ek martba unka comment mistime ho gaya aur ek umr raseedah khatoon
ko laga jaisey unpar koi fiqra kasa gaya hai……….wo tunak kar boleen “Miyan
tumhari maan k barabar hun” ispar Haseen bhai ne jawab diya “hum bhi abba k
liye hi dhoondh rahey hain”…….suna hai Haseen bhai ki zati zindgi mein bahot si
tragedies theen lekin inko shikast detey
hue wo logon k chehron par muskurahat bikhertey rahey……….
Mujhey yaad hai Chaurahey par
teen char dukanein aur theen, ek atta chakki thee jisko ek laheem shaheem admi
chalata tha jo bechara kis beemari ki wajah se jismani taur par bahot bada ho
gaya tha Sher Mohammad ki mithaee ki dukan par kul mila kar 4 cheezein bikti
theen………..subah subah jalebi, dopahar ko samosa aur namakparey aur sham ko
malayee wala kullahd ka doodh…..ye dukan ab bhi hai jispar taqreeban utni hi
cheezein milti hain jitni 20-30 sal pehle milti theen………….ek cycle marammat ki
dukan thee jsipar kiraye ki cycle milti thee…..agar ghar ka koi saman dodhpur
se ana hota tha to ammi aath aaney extra deti theen jis se hum kirey ki cycle
lekar dodhpur jatey they……….
Ameer nishan ki bakery par do
teen tarah k biscuits, chotey waley cakes aur buns miltey hain. Meri marhoom
Amma ko ye buns itne pasand they ki jab bhi bakery wala buns banata tha khud hi
ammi k liye ghar par le aata tha……..mujhey khud iske nankhatyee biscuits bahot
achchey lagtey hain aur duniya bhar k
biscuits khaaney k baad bhi mujhey wo zaiqa kaheen nahee milta….Aligarh se
aaney walon se main ye biscuits aur dodhpur ki mumphali wali gazak zarur
mangwata hun…………
Master Fakhruddin ka zikr kiye bina Ameer Nishan ka bayan
adhoora hai, shayad poorey shahr mein ye akeli ladies tailor shop thee aur main
jab bhi udhar se guzra wahan hai tauba machee rehti thee……shayd grahak zada
they aur karigar kam jiske cheltey taqreeban har siye hue kapre mein koi na koi kami reh jati thee aur
khawateen aag baboola hokar ji bhar k masoom se master sahab ko salawatein
sunati theen………….kitni hi baar merey saath aisa hua k badi bahnon ne naye kapre
try karne ke baad zor se mera hath pakra aur taqreeban ghaseet-tey hue
Fakhruddin master sahab ki dukan per le gayeen wahan khadey hokar unhe khoob
kharee khoti sunayeen phir suit k kharab honey ka matam manati huee ghar ko
wapas aa gayeen….
80 ki dahai mein Ameer nishan ki
geography, chemistry, botany, zoology, sab, “ unique store” khulne ke baad badalni shuru
huee aur dekhtey hi dekhtey is jagah ka naqsha badal gaya……….is choti si dukan
par ladies aur bachchon k kaprey biktey they aur ye dukan itni kamyab huee k iske aaspaas k
business bhi chal nikley aur aaj ki tareekh mein is market mein khawateen ki
zarurat ki taqreeban har cheez milti hai……….
Itwaar ko Ameer Nishan mein mela
lagta hai aur iski raunaq alag hoti
hai….is din Abdullah college ki hostel ki larkiyan outing k liye subah se sham tak apni apni
khareedari k liye bahar rehti hain. Achchey achey kaprey pehne hue larkiyon k
groups har taraf nazar aatey hain lihaza bahot sarey larkey bhi larkiyon ko
impress karne ke tamaam tareeqe istemal kartey hue aaspaas nazar aatey hain………hamarey
university ke daur mein parfumes to mehngey they lihaza zadatar hostel k larke
old spice ka after shave jo shayd 7 rupaiye ka hota tha apne kapron par chirak
kar nikaltey they……motor cycle aur goldflake ki cigarette status symbol hua
kartey they aur bahot se hamarey dost gold flake ki dibbi mein capstan rakha
kartey they …..
Donon eidon se pehley chand raat
ko Ameer Nishan apne glamour k urooj ko pahunchta hai taqreeban ek hafta pehle
se dukanon saja li jati hain aur der raat tak khulti hain khaas taur par tailor
shops….eid ka ailan hotey hi aisa lagta hai jaisey poora shahr is chotey se
bazaar mein samaa jayega………sabse zada chandi choori aur mehndi lagane walon ki
hoti hai…sadak ke donon taraf choori ke thele aur mehndi lagaane waley baith
jatey hain……………mehndi lagwane k baad geeley hathon ko aasmaan mein uthaye,
mushkil se apne dupattey sambhalti larkiyan badi mushkil se khud ko bheed ki dhakka mukki se bacha pati hain ……
Chand raat ko hamarey doston ka
group bhi begum bazar mein Zahid ki kaprey ki dukan par jama ho jata tha…..kuch
sharmeeley dost kaprey khareedne ke bahaane dukaan mein andar khadey reh kar
nazaron ka lutf uthatey they, kuch baqayedgi se bahar kadey hotey they……kuch ek
achchey jumle sunne ko bhi mil jatey they……ek dost ne doosrey se poocha “jigar
chand dekha ?” jawab mila “naheen yaar intezar hai, tumne dekha ?? unko jawab
mila “naya to nahee, haan ek purana
chand dikha tha” ……..paas mein khadey teesrey dost ne luqma lagaya “do chotey
sitarey bhi saath mein they”………………
Ameer nishan, logon k liye bazaar
hoga…………..hamarey liye bachpan ki yadon ka zakheera hai……raat ko khana khaaney k baad dodhpur tahaltey hue jana aur chotey ka paan khana.....ya yun hi transister lekar chaurahey tak tahaltey hue gaane sunna,,....sab maazi ki batein hain magar zehan mein taaza hain.....halanki shahar chorey hue 16 baras ho gaye hain.............
suna hai ajkal wahan ka mahaul bahot kharab ho gaya hai…………lekin duniya mein kaun si aisi jagah hai jisko mahaul ki qasmein khayee ja sakein……………………..
suna hai ajkal wahan ka mahaul bahot kharab ho gaya hai…………lekin duniya mein kaun si aisi jagah hai jisko mahaul ki qasmein khayee ja sakein……………………..
Ameer nishan zindabaad……………………….