LETTER TO MY SON……………………………..
Tum aksar mujhse khafa hotey ho jab main tumhe koi aisi hidayat karta hun jo tumharey zamaney ke aitbar se tumhe munasib nahee lagti….jaisey kuch din pehle jab bahar sardi mein nikalne se pehle maine tumhe apne kaan muffler se dhakne ko kahey to tumharey tassurat se zahir hua jaisey meri baat tumhe nagwaar guzree…..ab jab tum humse door jaa rahey ho apni taleem mukammal karne to socha jaatey waqt tumhe ye apni mamooli si zindigi ke chand tajurbaat de dun…tum ru baru to baat kartey nahee halanki aksar mera dil bahut chahta hai tumse doston ki tarah batein karun apni guzri hui zindgi ke baarey mein bataoun magar tumharey paas apne baap ke liye waqt kam hi raha….aur ab jab tum ja rahey ho to pata nahee kitni baat hua karegi……main halanki tumhe khat likhta rahunga magar mujhey pata nahee tum merey khaton ko parhogey bhi ya naheen…..lekin ek guzarish hai agar na parho to…..inhey sambhal ke rakhna…raddi ki tokree mein na daalna…shayd kabhi mahsoos ho inhey parhne ki zarurat…….tab jabki tum khud aulaad waley ho….waisey main ab main e-mail seekh raha hun suna hai barey kamal ki cheez hai yahan likho wahan fauran mil jata hai…..phir mail pe mujhse baat karo ya na karo apni maan ko mail likhtey rehna main parh kar unhe suna diya karunga…jabse tumharey jaane ka taye hua hai bahut gumsum si rehti hain…..wallahalam jaane ke baad kya kaifiyat ho…..
Tum aksar mujhey taane detey ho baba aapka waqt aur tha hamara waqt aur hai………sahi kehtey ho Tumharey aur merey waqton mein bahot faasla, bahut farq hai…lekin kabhi kabhi kuch kadua bolne se pehle thora socha karo …ab us din ko yaad karo jab main jagjit singh ki ghazal sun raha tha ….ye daulat bhi le lo…ye shohrat bhi lelo….bhaley cheen lo mujhse meri jawani…magar mujhko lauta do bachpan ka sawan wo kaghaz ki kashti wo barish ka paani…….tumne bahut tanziya andaaz mein mujhse kaha “baba ye kya rotey peet-tey hue gaaney sunte rehtey hain” sach bataoun to bahut kharab laga tha……is geet le lafzon ke mayne tumhe hamari umr mein aane ke baad pata chalegi ke guzrey hue waqt ki qeemat insaan ki zindigi mein kya hoti hai……chalo is khat mein tumko apne beetey hue waqt, apne bachpan ki kuch khattee meethi batein batata hun…taki tumhe pata chaley merey maan baap ne kitni mehnat mashaqqat se hamein paala tha aur humne kitne jatan se tumhe pala hai….
Hamarey ghar ka aangan kachcha tha……jab barsaat hoti thee to keechar ho jaati thee….lekin beegi hui mitti ki khusboo….shayd tumne kabhi mahsoos nahee ki ho aur agar ki bhi ho to usne tumhari rooh ko aisa muattar na kiya ho jasi ki hamari rooh us khushboo ko soongh kar ho jaati thee……..usi aangan mein raat ko charpaiyaan lag jaati theen achcha bara aangan tha……..pehli charpaai pe babuji doosri pe ammi uske baad ki positions ke liye aksar hum bahan bhaiyon mein jhagrey hotey they kyunki ghar mein ek hi table fan tha jo babuji ke charpaai se pehle lagta tha…..uska naam bhi yaad hai “cinni” company ka…..uski hawaa itni hoti thee ki 5-6 chaarpaiyon tak araam se pahunchti thee aur hum sukoon se so jaatey they……hamarey shahr mein machchar bahut they aur sukoon se soney ka wahid ilaaj machchardani tha lekin baba aur amma isliye machchar daani nahee lagaatey they ki pankhey ki hawa hum bachchon tak pahunch sakey …maheeney ke samaan ke saath ek odomos ka bada tube aata tha jo machcharon ka ilaaj karta tha………baat yaheen khatm nahee hoti….tum soch rahey hogey ki is zikr mein aisi kya bataane wali baat hai……..baat ye hai ki garmiyon ki raaton mein batti aksar chali jaya karti thee pankha band ho jata tha aur garmee se aankh khul jaati thee iske baad aksar poori poori raat ammi haath ka pankha lekar baari baari se babuji aur hum bachchon ko hawa jhalti theen taki hum so sakein……..ab jab sochta hun to maan bahot yaad aati hain……..3-4 ghantey tak pankha jhaltey jhaltey unke haath kitne dukh jaya kartey hongey……beta tumko ye tajurba kabhi nahee hua kyunki tumharey a/c ne hamesha tumhari raat ki neendon ki hifazat ki hai…..haan lekin maan ke dil ko dekho…yahan bhi aksar jab tumhari maan ko laga ki a/c zada thanda kar raha hai to wo uth kar tumharey kamrey mein jakar tumhe kambal orha aati theen…..
Hum sab bahan bhaiyon mein mushkil se ek ek ya do do saal ka farq tha …yaani hum mein se beshtar ham umr hi they…isliye choti choti baton pe jhgarey hotey they…..jo ammi ke darr se khud hi sulajh jaatey they….agar bahut hua to ammi ki ek ghrkee kaam kar deti thee…….tum jab aksar apni maan ko kissi baat pe ghurak detey ho to ajeeb lagta hai….hum logon mein maan baap ki izzat aur ehteraam ko tahzeeb kehtey they aajkal pata nahee kya kehtey hain…modernism ?…
Raat mein soney se pehle hum logon mein se baari baari se babuji ke pair dabaane ki baari aati thee…..us waqt samajh nahee ataa tha ki babuji ke pairon mein roz dard kyun hota hai…ab samajh aata hai…….us waqt unki umr 65 se oopar thee aur wo dukaan pe paidal jatey aatey they jo ghar se qareeb 3 meel ke faasley pe thee…..kabhi kabhi wo cycle pe bhi aya jaya kartey they……tumne shayd kabhi teen meel ka faasla paidal taye na kiya hoga…maine hamesha tumhare school aane jaane ke liye bus ka kharch uthaya halanki ghar se tumhara school koi bahut door na tha….lekin jis mahroomi se main guzra usey apni aulaad ko nahee dena chahta tha….
raat mein sotey waqt, ek chota sa transistor baba ke sirhaane hota tha jispe BBC mustaqil taur pe chalta rehta tha….hatta ye ki aksar baba ke so jaane ke baad amma jhalla ke uthkar usko band karti theen……BBC ki urdu nashriyaat baba ko pasand thee uske tammam programon se qabl jo music bajta tha wo humein rutt gaya tha…is talluq se ek mazedaar waqya yaad aata hai jiska is khat ke context se koi talluq nahee hai phir bhi batata chalun…ek baar India England ka match chal raha tha aur commentary chaloo thee…England mein match ho raha tha isliye india ke time ke mutabiq der raat gaye tak match chalta tha…..cricket pata nahee kyun hum sab bahen bhaiyon ki rugon mein behta tha….match bahut dilchasp marhaley mein tha aur hum jeet ke bahut qareeb they…..kaun sa san tha mujhey yaad nahee magar us match mein gavaskar mein apna carrier best 221 ka score banaya tha aur shayd vengsarkar bhi 100 ke qareeb tha…..aalam ye tha ek bahen baba ka ek pair daba rahee thee doosri bahen doosra pair …do ke hathon mein baba ke dono haath they aur main sir mein mukke laga raha tha……..wo match sirf 9 run se hum jeet na paaye….aur afsoos ke maarey saari raat neend na ayee………mujhey khushi hai ki tumhe bhi cricket mein dilchaspi hai magar yaar ye 20-20 hamari samjh se bahar hai.
Aangan ke ek koney mein murghiyon ka ek baara tha usme amma ne murghiyaan paali hue theen…….subah uth kar usmein ek ya do andon ke dekhkar jo dil ki kaifiyat hoti thee wo lafzon mein bayaan karna mushkil hai……..aanagan ke doosrey koney mein shahtoot ka darakht tha jispe bahut meethey shahtoot aatey they aur itne aatey they ki mohalley mein baantne ke baad bhi bach jaatey they…….aangan hi mein haath ke nal ke paas angoor ki bel thee jispar pehle 2-3 saal to bahut phal aaye uske baad khatm ho gaye…..suna hai phaldar darakht ko kaatna nahee chahiye magar bhayya ki shaadi honey se pehle us jagah naye kamrey ki tameer ki zarurat jab paree to us darakht ko kaatna para….us waqt ammi ki takleef unke aansuon se mahsoos ki jaa sakti thee….uss jagah jo kamraa bana uski taseer koi bahut achchi saabit nahee hui…bachchey ye aangan ka qissa isliye suna raha hun kyunki tumne apna bachpana in band kamron mein guzara hai aangan dekha hi nahee isliye uski ahmiyat tum nahee samajh pa rahey hogey….apne baap ki ek baat pe agar amal kar sako to zarur karma….jab kabhi apna ghar banwaao to usme aangan zarur rakhna….
Mera school bhi taqreeban ek dedh meel ke faasley pe thaa na cyle ki haisiyat thee na rickshaw lagaya ja sakta tha…isliye paidal hi jana hota tha…..aksar jab us safar mein class ke doosrey bachchey rickshaw mein baith kar jaatey hue miltey the to sharmindagi hoti thee…….us waqt ajkal ki tarah ke school bags nahee they…….teen ka baksa tha aur kitabon ke wazan se aksar haath mein gaanthein par jaaya karti theen……..
Safed school ki shirt to do teen saal mein ek nayee bana karti thee magar pants babuji ke purani grey pants ko alter kara kar banti theen……
School recess mein taqreeban sab bachchey tiffin laatey they magar hamari maan itne saari aulaad ko kaisey alag alag tiffin bana kar deti theen…amooman subh nashtey mein raat ki bachi rotiyon ko namak ke paani mein bhigo kar unko ghee mein tal diya jata tha…..kehna ghalat na hoga ki main aksar hasrat se bachchon ko unke ghar se laaye hue paranthey achaar ko khaatey dekhta tha barhti hui umr thee bhook shiddat se lagti thee magar !!!! khair……kya tumne kabhi bhook mahsoos ki hai ? shayd nahee…..meri dua hai ki kabhi karo bhi nahee…….
Asal baat ye hai ki ye sab likh kar main apna dil halka kar raha hun…..ab koi dost to raha nahee jis se ye sab batein ki ja sakein…..tumhari maan ko bhi in baton mein koi dilchaspi nazar nahee aati….unhe to bas tum aur tumhari bahen ki parwaah rehti hai….aisa nahee ki wo mujhse ghafil hain magar jabse tum dono is duniya mein aaye tabse main line mein peechey ho gaya hun…..
Chalo is khat ke liye itna hi kaafi hai….
Allah nigehbaan
5 comments:
Hi there, I like the name of you blog, very positive! "The Best is Yet to Come!" The letter...sounds like you had a lot of trapped childhood memories which were just waiting to flow out, and in the form of a letter to your son, have taken a life of their own, especially because you are drawing insightful comparisons between the two generations.
It's true we have our own distinct childhood memories, and our kids will have their own, and it is a great solace that their's will be with far less struggle than ours.
Probably therein lies part of our "achievement" :)
KEEP WRITING!
Always have known that u were a good writer, so thanks for proving me right:)Yes, i agree with sangeeta, title is very positive. Am glad to see something so positive from you. The best is yet to come, not that the best also hasnt happened already as well. While we all look to the future, we forget what a strong hand our past has had in moulding us. Just like the father doesnt want his son to forget his roots...We are all truly blessed. God has given us so much. We should learn to appreciate it more. We are what we are because of our parents...no? their hardwork, their patience and their efforts...
Agli kahani ka besabri se intezaar hai....:)
hi.do alag generations ka comparision achha hai.shuruaat padh kar achha laga.laga kuchh khoobsoorat baat aayegi magar phir bhatak gayee baat.apni bachpan ki kahaniyaan apne jis tarah se sunaayee hai,aisa lagta hai aap kahaniyaan achhi suna sakte hain magar inka jo moral nikalta hai wo poori tarah justified nahin karta aapki baat ko.
'aapke bete ne mitti ki khushboo nahin jaani,ya use maaloom nahin aangan kya hota hai' aapne socha hai ye ungli kis par uthti hai? aap apna gaaon chhod kar shahar aate hain ki aapki next generation nayee duniya dekhe aur us daur se na guzre jis se aap guzre hain,phir ye shikaayat kyun karna ki wo aap jaisa nahin.
important baat ye ki aap apne babuji ki ijjat kyun karte hain?isliye ki unhone mushkilein utha kar aapko pala ya sirf isliye ki wo babuji hain?agar wajah pahle wali hai to shayad ye galat hai.isi tarah aapne kitni mushkilein uthaayee hain ye apne bete ko batane se behtar hai aap use bachpan se hi sikhaayein ki badon ki ijjat kya hoti hai.
baaki maine kaha ki aap storyteller achhe hain magar lamba likhne mein aapki baatein bhatak jaati hain.
Mujee aap kay doosray walay project ka kia bana? and correct me if I am wrong...a letter to your son? You mean you have a son now? gt nostalgic after reading your stuff........longed to start my own blog!@
It was really nostalgic Mujeeb bhai...enjoyed it thoroughly and got emotional.
Hum sab ke andar ek bachha aur uski bachpan chupa to rahta hai....bas farq itna hai ki koi usse daba deta hai aur koi usse hamesha saath leke chalta hai....
Post a Comment