Moin Akhtar………………….a tribute from India
Koi bhi achanak huee maut ab mujhey nahee chaunkaati. Aisey haadson ki kasrat se zehan aadi ho chala hai lekin Moin Akhtar ka yun achanak chaley jana hosh-o-hawaas pe bhaari para. 23 April ki shab dilli mein bahen k ghar par Kuwait wapsi k safar se pehle ki udaasi se kamyab jung lartey hue IPL match dekh raha tha k ye khabar mili. Tab se ab tak is haqeeqat ko samajhne mein aur wo alfaaz dhundhne mein waqt lag gaya jo mujh jaisey mamooli insaan ki aqeedat is qaddawar fankaar se bayan kar sakein…khabar sunkar pehli kaifiyat wo huee jo Javed Akhtar sahab ne bayan karee, “kuch log itne zinda dil hotey hain k socha hi nahee ja sakta k wo mar bhi sakte hain”….Moin Akhtar bhi aisi hi ek shakhsiyat thee…wo fan k us urooj pe they k jinse dil abhi bhara nahee tha……zamana badey shauq se sun raha tha…..humeen so gaye dastaan kehtey kehtey……..
Shuroo se hi ghar pe adabi mahaul mila, filmon pe tabserah bhi uska ek hissa tha. Dilip Kumar ka tazkera Kasrat se hota tha….yun kahiye wo hamein virasat miley aur unki shakhsiyat humein ghutti mein pilayee gayee lihaza merey wajood par unka rang itna pukhta hai jiska ab utar pana taqreeban namumkin hai…aur shayad zarurat bhi nahee hai….. bachpan mein hamarey role model badey bhai they jo Kishore Kumar ko bahot Umdah gaatey they nateejan hum bhi unke idol ko follow karne lagey……mehfilon mein jo gaane bhayya gaatey they wo hum Akeley mein gungunaya kartey lihaza shuroo se hi Kishore da bhi dil-o-dimaagh pe chasp hain. Performing arts se talluq rakhne wali in do hastiyon se shanasaee ya khaasi waqfiyat bachpan mein hi ho gayee…..bahot baad mein jab unke fan ko samajhne ka shaoor aaya to humne baqayeda unke paristaron ki fehrist mein apna naam likhaya. Lekin jis ek shakhs k fan ko maine badey hotey hue lamha dar lamha samjha wo Moin Akhtar they.
Stage se wabastgi bhi bachpan se rahi….1975 International Childrens Year tha jab umr taqreeban 6-7 baras ki rahi hogi, is saal pehli martba AMU k Kenndey Auditorium mein perform kiya. ….jin logon ne stage kiya hai wo bakhubi jantey hain k live audience ke samne perform karne ka nasha kya hota hai……lihaza is exposure aur ghar k mahaul ki wajaha se adakari, mausiqui ka shauq parwaan charha..
1977 lag gaya tha aur janata party ki hukumat mein Hindustan Pakistan k rishton ki talkhi kuch kam huee, border khul gaya aur logon ka aana jana shuroo ho gaya ……
Isi dauraan Moin Akhtar ka pehla audio cassette release hua aur isne hindustan k urdu speaking awaam mein tehelka macha diya…….audio comedy entertainment ka ekdum naya concept tha kyunki filmon k alawa tafreeh k naam par radio hi tha jis par bhi zadatar filmi programs nashr kiye jatey they….sirf awaz se mizaah paida kiya jasakta hai logon ko is cassette ko sunkar pata chala….aur jab ye aaya to iske lateefey itne maqbool hue k rozmarra ki zabaan mein istemaal kiye jaane lagey…..Moin Akhtar k mukalmon ki adayegi ne purane chutkulon mein bhi nayee jaan de di…………chahey wo angrezi film Mackenna’s Gold k scene ki manzarkashi ho ya Hashim Bhai Kashim Bhai k mushairey ka bayan ho, har presentation shaahkaar tha…….ye lateefey itne zada maqbool hue k us daur k kuch log ab bhi apni bol chaal mein aksar inka istemaal kartey hain……..jo log bhool gaye hon unhe ek lateefa yaad dilate chalun jisme ek gaanv k sahib apne dost ko pahanne k liye apna pajama detey hain aur panchayat mein introduce karate hue bol detey hain……”sadey pind de chaudhary inna di bade kheti ibaari…….par pajamma mera hai………” is lateefey ka aakhiri jumla……”ae le tu phad apna pajama” itna hit hua k aaj bhi is jumley ko main ab bhi tafreehan yahan tahan istemaal kar leta hun…...
1978 mein India Pakistan ki cricket series huee jisme test matches live telecast hue aur isi daur mein VCR bhi a gaya. Amritsar mein recorded Pakistani TV plays ghar ghar mein pahoch gaye….Pakistan television ne ek tarah se Hindutasn k urdu speaking awaam ko mureed kar liya aur isi tarah hamari filmon ne Pakistani awam ko deewana bana diya…Amitabh Bachchan phenomena sarhad paar bhi shiddat se mahsoos honey laga…...Moin Akhtar khud Dilip Kumar ke shaidaai they aur unki bahut umdaah naqal kartey they….balki PTV ke bahot se maqbool artists khud ko Dilip Saheb ki parchaii se azad na kar sakey aur usi andaz mein acting kartey they…Moin Akhtar taqreeban har stage program mein Dilip Kumar ki mimicry zarur kartey they…ye dono mulkon k beech ek khubsurat daur raha jab cultural exchange urooj pe tha……Hamarey mulk mein fan ki hamesha qadr huee hai aaj bhi Adnan Sami, Rahat Fateh Ali waghaira Pakistan se zyadah yahan maqbool hain aur yaheen rehtey hain….ye hamarey mulk ke awaam ka badapan hai jo bawajood tamaam talkhiyon k Pakistani fankaron ki qadr kartey hue unhe aala muqaam detey hain………isko yun bhi kaha ja sakta hai k fan kissi sarhad ko nahee maanta...wo is bandish se azaad hai..
Khair, 80’s mein hamarey ghar mein bhi VCR aa gaya aur kiraaye par cassettes aaney lagey…films dekhne par thori pabandi thee lekin PTV k dramey kasrat se dekhey jaatey they…...mujhey in dramon ka chaska lag gaya aur main baqayedgi se inki study karta tha….beinteha umdaah urdu aur bemisaal adakaari…..ye dramey ek nasha ban gaye they……Ankahi, Tanhaiyaan, dhoop kinarey Haseena Moin k shaahkaar they jinka koi saani na tha a hai…..mujhey Haseena Moin se mulaqaat ka sharf haasil hai jab Amstedam se Kuwait tak ki flight mein wo marey saath theen aur unhone meri PTV ki maloomaat ko saraha bhi……
Moin Akhtar ne stage aur TV anchoring ko naya aayaam de diya tha…anchoring suit boot stereo type se bahar ayee aur apni mojoodgi ka ehsaas karane lagi….Moin Akhtar ki barjastgi aur shararat se bhari muskurahat achchi se achchi celebrity ko bauna bana deti thee mujhey unke aise beshumar interviews yaad hain jinme unhone apne se oonchey qad wali celebrities ko apne besakhta jumlon se baghlein jhaankne ko majboor kar diya……..unki performances dekhne k baad mujhey aksar rashk hota tha k ek insaan mein itna talent kaisey mumkin hai ?? jo na sirf ek stage performer hai balki ek achcha script writer, actor aur theek thaak sa singer bhi hai…...Angan Terha mein Shayar ka unka kirdaar, Rozi ka double role, eid train mein hakley ka kirdaar…….kiska zikr kiya jaaye………… har ek performance pe mazmoon likha ja sakta hai……. Dustin Hoffman ki Tootsie se inspired Rozi mein Moin Akhtar ne dono male aur female characters itne bakhoobi kiye k ek taraf jahan beinteha hansaya waheen rula bhi diya…….. ek chota sa drama tha eid train….jisme Akhtar Hakley baney they aur “Abey Lota Mila” unka takiya kalaam tha….ye jumla main aaj bhi aksar kisi khoi huee cheez ko dhundhtey logon se poochta hun , “abbey lota mila” …
Moin Akhtar ko Indian subcontinent mein standup comedy ka baani agar kaha jaaye to shayd ghalat na hoga… unke scene pe aaney k baad bahot se standup comedians aaye Jinmen Umar Shareef, ustaad k fan k kaafi qareeb aa gaye. Donon ne stage play “Bakra qiston pe” mein ek saath kaam kiya aur comedy ko inteha par pahoncha diya…Umar Shareef ne bazate khud ek umdaah fankar hotey hue bhi hamesha Moin Akhtar ko original ustaad ka darja diya….Hindustan ki entertainment industry ne hamesha unke contribution ko maana aur unke inteqaal k baad johny lever ne kaha k Moin Akhtar unke inspiration they.
90’s mein jab Moin teamed up with Anwar Maqsood in Loose Talk, history was created ….is program mein writing creativity aur adakaari ki nayee bulandiyan define ki gayeen……ye program musalsal 7 saal tak chala aur pakka nahee hai par suna hai k Guinness book mein Moin Akhtar ek program mein maximum characters adaa karne k liye darj kiye gaye…Lagataar 7 saal tak taqreeban har haftey ek naya kirdaar likhna Anwar Maqsood ki zahanat ki daleel hai aur itne arsey tak har haftey ek naya kirdaar adaa karna Moin Akhtar ki azmat ki sanad hai…....Moin saheb ki badqismati ek ghareeb mulk mein paida hona rahee warna mera yaqeen hai k agar ye shakhs kisi west ke mulk mein paida hua hota to naa jaane kis muqaam par hota.
Baharhaal apne hunar apne fan se samaj mein muskurahatein bikherne wala ek sutoon dhah gaya…inse mulqaat ki meri hasrat ab hamesha k liye dil hi mein reh gayee….meri qalam mein jo bhi tootey phootey alfaaz they likh diye lekin ye meri aqeedat ko bayan karne k liye nakaafi hain…..
Moin Bhai, zindigi badastoor jaari hai lekin apke baad dunia mein hamara dil thora kam lagta hai……………..
Dhoondo Ga'y Agar Mulkon Mulkon Milnay kay nahin, Nayaab hain huM Khuda Hafiz Moin Akhtar
1 comment:
Kya zabadast manzarkashee kee hai Mujeeb sb aapney. Aisa lagta hai ki is kahanee mein do kisse saath saath chal rahey hain, ek aapka or Moin sb ka.
Is khiraje aqqedat se Moin sb ke fan ko kareeb se jaannay ka ae bahot mauqa to mila hee saath saath aapke kayee chupe huay fanon ke baare mein maalomaat bhi huee.
Moin sb bila shaq ek aisey fan ke maalik they ki jiskee misaal nahin miltee.
Apnay waaldain se Moin sb kay baare mein jaaneny ka mauqa mila, ki woh aksar apnee baaton mein unka naam loiya kartay thay and unka kisesay dohratey thay. Is tarha naam to bohot suna tha or kayee mazahiya kisse bhi sunay thay pahley lekin pooree tarah samajhney ka shaoor takreeban 16 baras ki umr mein aaya yaanee 1996 mein jis waqt shayad Moin sb apney fan ke aakhree padao mein thay.
Kabhi mauqa lagney pe unko Ptv pe dekh liya kartey thay aur lutfandoz hua kartay thay. Aur ab jab waqt aaya ki Moin sb ko pooree tarah se appreciate karein to woh hamare beech nahin hain.
Is waqt unko yaad karnay ke alawah ham log Allah Ba'ari Ta'ala se unke haq mein dua hee kar saktey hain. Chahay woh hamarey beech nahin hain lekin unki itnee yaadein hamarey beech hain kayee shaqlon mein mauhjood hain jo unke hamare beech mein honay ka ahsaas karatee raheingee!
Mujeeb sb bahot shukriya itna achha ta'arrufana khirahe aqeedat pesh karney ke liye.
Kashif
Post a Comment