Thursday, November 8, 2012

Smart Phones............are the really smart ?


Smart phones !! really smart ?

 
I am quite often mocked at by my close friends and looked upon surprisingly by  work colleagues  for using a primitive model  Nokia cell phone. Living in an era of smartphones it is quite a challenging task to explain reasons for not buying one for myself when affordability is not under question.

Even to friends  who are vocal in their criticism , I have to frequently explain reasons for not changing my television and computer to newer versions. Collectively, I respond by telling that my basic needs are fulfilled by the gadgets I possess and I find it unnecessary to keep abreast with rapidly changing technology specially sometimes when it is more of a  show of status.

So far, the phone I use, serves the purpose of receiving and placing calls and text messages. The television I have, suffices for my moderate viewing of cricket and news and the IBM laptop purchased some 6 years ago connect amply with my people all around the globe.

I may be wrong in justifying use of old TV and computer but I am quite strongly convinced that changing my conventional phone by smart phone will have no added advantages to my needs. Further, I equally believe that these phones are causing enough harm to the people that sooner or later they may have to mandatorily carry a statuary warning just as cigarettes packet do. Subject is debatable and I have my reasons of opposing overt use of smart phones.

Ever since people around me started using smart phones major shift in their behavior is being noticed. After a few instances which caught my attention, I thought of expressing my opinion on the subject broadly. Recently while waiting to board plane back to Kuwait at the Dubai airport I counted around 40 persons in the lounge out which 33 were engaged on their phones, 3 were dozing, three  strolled leisurely watching their kids and to my sheer delight 1 was engaged in reading a book.

While seated in plane before taking off, majority of persons were still engaged on phones and I am sure despite announcement to switch them off many were still on. I have a feeling of despair at instances since striking conversations and making friends during travels was my forte till I found no one to talk to as most of the people prefer phone than to talk with strangers.

My aversion to smartphone addiction multiplies manifold when during serious professional discussions, individuals are distracted by  alerts which to my understanding are no more than Facebook or twitter notifications. I am appalled by watching people instantly turning their attentions towards virtual friends, literally and practically insulting the ones who are physically present there for more important matters.

Beyond anyone’s doubt, cellular phones are a necessity these days but I believe, being connected to the internet through cell phones is dangerous, both, socially and medically. In my opinion people addicted to smart phones have started living in virtual world, detached from reality. This attribute is denting the social network too. Even in family gatherings like marriages or even birthdays people are seen isolating into corners being connected to faraway people some of whom may be even imaginary.

Speaking in term of initial scientific researches,  the Smartphone users have developed “checking habits” which is repetitive checks of e-mail and other applications averaging 34 times in a day which is often done within 10 minutes of each other. This eventually may lead to obsessive compulsion which is categorized as a mental disorder.

Biologically speaking, the 4.3 billion mobile phone users are exposed to electromagnetic radiation in the microwave range, which is believed to be harmful to human health majorly affecting the brain. Some researchers also advocate a theory of human fertility being affected too.

Parents who flaunt their toddlers technical abilities to handle smart phones are gravely mistaken, not even single study shows that any of today's electronic gadgets give children an intellectual edge over their playmates who play with balls and eye spy. Even the "educational" apps that are "designed to boost brain growth will not turn your toddler into a genius, not even close. There is no scientific evidence that any "educational" app, learning system, computer program, or set of DVDs can increase infant intellect. So instead of handing over iPhones to your children try to engage them verbally and in physical games which would develop your children’s emotional skills they’ll need to succeed in life. Remember, there is no and won’t be an alternative to bedtime stories told by moms to their growing children. Believe me, these stories drowsily narrated to us by our mothers leave and everlasting impact on our psyche.

Children addicted to the internet could soon be classed as mentally ill, it has been claimed. According to the Herald Sun, 'internet-use disorder' will be included in the DSM-IV - the Diagnostic and Statistical Manual of Mental Disorders - from May next year.

Conclusively; the use of phones should be limited to bare necessities to preserve creativity of minds and this should be propagated through every possible front for the benefit of all.
Following is cut and paste from an email I received.
The day that Einstein predicted, seemingly arrived ...
Albert Einstein:  "I fear the day that technology will surpass our human interaction”.
On the way to work
College canteen
                                                                      Social Dinner


Visit to a  Museum
 
                                                                        Family dinner

An outing !
Cheering Home Team
 
                                                                          Possibly a Date !
 
On the move
 
For some more on the subject, watch the you tube link http://youtu.be/9IOOqF0iwTs


Monday, April 9, 2012

The show went on....................

Uss subah bahot gunoodgi thee aankh khul hi nahee rahee thee, sir mein bhaaripan ki wajah yaad aayi,…. raat neend ki goli li thee………..
Halanki himmat nahee thee magar fone ki ghanti ne bistar se uthne ko majboor kar diya, .....kapre pahantey hue kal k waqyaat yaad aaney lagey aur sir me beinteha bojh mahsoos honey laga……..
Rawish k sath mein Azeem k ghar k liye nikal liya ………….Azeem aur Sabiha qareeb mein hi rehtey hain….dost hain aur un donon se zada hum log unke bachchon se milne unke ghar jaya kartey they ya unhe apne ghar bulaya kartey they...Azeem badey bhai ki tarah mujhey manta hai ………..likhne ka maqsad ye ki in logon se hamari kafi qurbat hai…………….

Azeem building k neechey hi mil gaya kuch aur log bhi they….mashwarey k baad main aur Azeem Shariq k saath Indian Embassy rawana ho gaye ........
Embassy ka raasta bahot lamba nahi hai lekin aaj bahot lamba lag raha tha…..neend ki dawa ka khumaar ab kam honey laga tha aur kal jo kuch hua uski tasweer nashtar ki tarah dimagh mein chubhne lagi… .............

Pichla din........baroz 4th April 2012..........

Dopahar taqreeban 1 bajey they, main agley din k stage show ki compeering k points likh raha tha jab Owais ka bahot hi badhawas sa fone aaya, usne ittela di k Azeem k betey ka severe accident hua hai aur wo log usey lekar Farwaniya hospital gaye hain….main furan hi boss ko ittela dekar daftar se nikal liya..raastey mein sameena ko fone kiya, halke se accident ki baat batayee aur saath chalne k liye tayyar rehne ko kaha..........khayal tha k Sabiha ke sath koi hona chahiye ..........
Sameena k saath Adiba bhi gaari mein baith rahee thee k Azeem k fone aaya aur usne wo declare kar diya jiska andaza ho chala tha...........Yousuf had died…………….
Hospital pahonch k maine Azeem ko liptaya aur wo betahasha roya shayd ab tak wo bilkul nahee roya tha…….…..….main bhi uske saath kuch ro liya……..jab hum kuch halke hue to usne jo bataya wo umr bhar k jiye wajood pe naqsh ho gaya……….

Aj unki beti Mehvish k school ka pehla din tha dono maa baap bahot khush they aur subah unhone beti ko rukhsat kartey hue dono bachchon ki khoob tasweerein utareen……..dopahar mein usi ko receive karne k liye bhi dono Yousuf ko lekar building k neechey aaye…… Jab bus ayee to Sabiha bus ki taraf barh gayee, Yuosuf Azeem k saath kuch qadam peechey tha…… ……….isi beech mein barabar k restaurant ki car mein gharon tak delivery pahunchane wala aadmi baitha aur usne bina peeche dekhe hi bahot raftaar mein car reverse kar di aur Yousuf k oopar charha di…… ………….taqreeban 2 saal ka halka sa jism bri tarah zakhmee ho gaya…….ya shayd fauran hi khatm ho gaya……………halanki Azeem ne bataya k hospital le jatey hue kuch sansey theen…….

Jis jis ko ye khabar mili fauran hi hospital aa gaya…..Ab Yousuf k aagey k safar k liye yahan k qanoon k mutabiq bahot si formalities poori karni theen…shuroo mein Sabiha ka kehna tha uski tadfeen India mein ho lekin mera thora sa hi samjhane par usne ye khayal tark kar diya……..Yahan k hospital aur police se pehli martaba itna qareebi sabqa hua ..yun to aksar-o-beshtar hum log drawing room discussions mein apne sath honey wali zyadatiyon ka rona rona rotey hain lekin ab ye zyadatiyaan hamarey oopar beet rahee theen……hospital mein ek doctor se maine bahot ajizi se mayyat ko le jane ka procedure maloom karna chaha to usne bahot gussey mein jawab diya "I’m too busy to help u”…..

Khair is waqt tak bahot log aa gaye they.......... kaghzi kam Azeem k boss Bashar ne sambhal liya tha...... Sabiha , sameena aur Adiba ko Ikram k saath ghar bhej diya gaya.........ghar jatey hue Sabiha ne azeem ko zada cigarette na peene k liye kaha mujhey iska khayal rakhne k ishara kiya ……… mere andar k tootey hue hausley ne us Larki ko ek zabardast salam kiya jo is aazmaish ki ghadi mein bhi bahot composed thee…. …......

Is waqt dopahar ka koi 3 baja hoga ,mujhey khud ko kal k stage program se alag karna tha jiske liye maine Iqbal bhai ko fone kiya aur saari baat bata kar show “on” rakhne k liye kaha….........mera khayal tha k zaati tragedy ko doosron par kyun haavi kiya jaaye…..is show mein bahot se log involved they jinki mehnat aur paisa laga hua tha…………

Hospital se Azeem k saath zadatar log police station chaley gaye jahan aagey ki karyvahi honi thee ...main uske ghar aa gaya jahan khabar milne par log aaney shuroo ho gaye they...

Ab tak Sabiha khasi qaboo mein thee aur fones attend kar rahi thee…phir shayd uski ammi ka fone aaya aur jis saffak alfaz mein usne kaha "Ji Yousuf mar gara" ....wo jumla pighle seesey ki tarah kanon se meri rooh mein utar gaya …........ye kehne k baad maine uske roney ki awaz suni………….ispar thora itminaan hua kyunki suna hai k aisey halaat mein agar koi na roye to usko zabardasti rulaya jata hai…….warna shock se doosrey nuqsanaat ka khatsha rehta hai………………..

Yahan se police walon ki badsalooqiyon ka lamba silsila shuroo hua…..Taqreeban 3 ghantey ki likha parhat k baad azeem ko thaane se jane ki ijazat mili..... phir raat mein koi 8 bajey 2 police waley mauqey par tehqeeqat karne aaye…..inme se ek ka rawaiyya haiwanon wala tha………aisa lag hi nahee raha tha k wo kisi insaan ki maut ki tafteesh karna aaya ho……….balki aisa maloom hota tha jaisey usko zabardasti kisi mamooli lootmaar ki report banane bheja gaya ho……...usne ek do martaba Azeem ko bahot hiqarat se daanta…….us mazloom baap ko jisne abhi kuch ghantey pehle apna masoom beta khoya tha…. Is police waley ki shakl maine apne zehan mein naqsh kar li…………. hashr k maidan mein zarur isko apne rawaiyye ka hisaab chukana hoga….…..

Is mulk mein apni haisiyat hum sabko pata hai aur rozmarra ki zindigi mein hamein aksar hamari auqaat dikhayee jaati hai ….magar us din ye bahot saaf ho gaya k yahan hamari haisiyat kisi charind ya parind se zada nahee hai…………. jis restaurant ki car ne ye haadsa kiya tha wo badastoor khula raha… ….iske malik ya mulazimo ne ek minute k liye bhi apna dhandha band nahee kiya ……itna hi nahee…....wo hum logon par gurra bhi rahe they…..insan ka insan se ye salooq pehli martaba dekha………..is sab k duaran main soch raha tha k agar yehi kuch hamarey mulk mein hua hota to is hotel aur driver ka kya bana hota…………hamarey mulk mein agar dushman bhi marta hai to uska bhi afsoos zahir kiya jata hai…..

Raat mein 9 bajey Azeem ki bahen aur behnoi Sharjah se aa gaye to kuch rahat mehsoos huee...Sabiha kuch khul k royee..................
Waqt ka andaz nahee hua jab hum ghar aa gaye aur main neend ki dawa lekar so gaya…………….

Embassy k Mahavir Jayanti ki wajah se embassy band thi…….. lekin emergency staff ne mushkil se 30-40 minute mein aur bahot hamdardi k sath Yousuf ki tadfeen k liye no objection certificate de diya...........

ye kaghaz lekar hum wapas police thaney aaye jahan phir kuch likha parhat k baad mazeed ek kaghaz mila jisko lekar hum wahan chaley gaye jahan Yusuf ko hospital se muntaqil kar diya gaya tha...... yahan se jab usko ambulance mein rakh k qabrstan k liye bheja ja raha tha tab bhi main usey dekhne ki himmat nahi kar paya..........Azeem ne bahot azm se is kaam ko bhi anjaam diya aur ambulance hi mein baith k gaya ..........

Taqreeban 3 baj gaya tha.........ambulance k peechey zadatar log qabrstan chaley gaye, main aur Shariq , Azeem ki Bhateeji aur uske shohar ko airport receive karne chale gaye.......in donon ko lekar hum seedhey qabrstan pahunchey jahan ghusl ki tayyari ho rahi thee........
Ghusl dene se pehle Yousuf dekhne ki ijazat di gayee..........main bahar hi thehra raha..........Azeem sabiha k saath kuch aur log andar gaye.......lekin jab halaat beqaboo honey lagey to mujhey Azeem ko sambhalne k liye zabardasti andar bheja gaya...........
Maan Baap se aulaad ki aisi mulaqaaat ka manzar filmon mein aksar dekha tha....magar ye haqeeqi lamhat larger than life they….. .....in se guzarne ki shiddat ko sirf mahsoos kiya ja sakta hai , alfaaz mein kehna ya likhna na-mumkin hai…..wahan mojood har ba-aulaad insaan is haqeeqat se laraz raha tha k ye uske saath bhi ho sakta tha ya khuda na karey ho sakta hai........sab log apni apni mahdood aql se Khuda ki maslehat ko samjhne ki koshish kar rahey they aur insan ki bebasi ki haqeeqat ko samney dekh rahey they……Sabiha ne Yousuf ke barf sa thanda haath pakra hua tha aur Azeem usse is haadse k liye maafi maang raha tha………….kaheen na kaheen wo khud ko iska zimmedaar maan raha tha………….

kuch der baad Yousuf ko supurd-e-khaak kar diya gaya........mera Yaqeen hai k wo jannat k us maqaam par le jaya gaya hoga jahan Khuda ki Mahboob tareen makhlooq hogi…………….aur hamein bataya gaya hai k is qism ki maut shahadat k darje mein likhi jati hai hai aur har shaheed apne maa baap k saath 9 logon ko jannat mein le jane k haqdar hota hai…………….

jab hum wapas Azeem k ghar pahunchey to maghrib ka waqt ho chala tha...........kaafi log wahan they lihaza main aur Sameena ghar aa gaye.........meri shaam abhi baaqi thee......jis stage program ki tayyari pichle ek maheene se zor shor se chal rahi thee mujhey wo conduct karna tha ............der ho chuki thee……. call pe call a rahey they........
Tez garam paani se ghusl karke chai k saath do panadol khakar, achcha sa libaas pahan kar main program ki venue par pahunch gaya..........kaafi log aa chukey they.......screen par hamarey performing artist ki filmon aur TV ads ke manzar chal rahey they.........mahaul khushgawar tha….
Mujhey 9 bajey program shuroo karne ko kaha gaya...............theek 9 bajey main curtain k aagey podium pe aa gaya................tez spot lights mein neend aur thakan se bojhal aankhon ko khula rakhne aur muskurahat k saath apna khitaab shuroo karne mein kamyab hotey hue maine program shuroo kiya.....
“show was on”.............there were applauds here n there……I was faking smiles even though crying aloud from within………

Dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?
[ sang = stone, KHisht = brick ]

Qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?
[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]

Saturday, May 28, 2011

naughty beyond forty...........

Dil................to bachcha hai ji :)

Why undermine men by saying “they r naughty at 40” when they stay naughty much longer after that too??…men in west exemplify it best…... Berlusconi!! How old is he?? Regardless!! He’s good enough to flirt with an 18-year-olds, currently a model Noemi Letitia who calls him “Daddy” and it was a Moroccan belly dancer Ruby just before.

The IMF head Dominique Strauss Kahn! Fed up of French, tried something “American” and they’ve put him behind bars. Poor soul !! No wonder makers of blue pill bails him out, it’s after all free publicity to their wonder drug and who else can model it better than the IMF Boss.

French are known to be romantic, and as one BBC reporter put it “French people are soft towards their politicians going extra marital”. with this attitude no wonder all hotels accommodating French men will have to post statutory warning on doors “French inside”.

The list is endless, to quote current politician and the one before him would be enough to generalize. Francois Mitterrand and his (in) famous affair with art historian Anne Pengeot and present one Nicolas Sarkozy.

In a controversial new book on the effects of infidelity on married life, Men, Love, Fidelity, figures cite that an estimated 39 per cent of French men cheat on their wives at some stage in their life. That’s quite a number !!!!......................we can imagine their social structure.

One in our part of world finds it difficult to comprehend the Americans being so offended by an attempted rape of a hotel maid when their own President was involved in nothing less than similar offence or may be even worse since he lied under oath.

Well it’s their ego’s clashing they’ll sort it out. My simple question is “why have the French imposed ban on other women from covering their heads by hijab” ? What’s so wrong if they protect their modesty with so many crazy men around??

I know……my voice is feeble, wont resound ……it’s just a thought for sharing….enjoy the attached pics and the slideshow and have a nice weekend.

Cheers

Syed Mujeeb

Politicians And Their Alleged Affairs: A Slideshow
http://www.huffingtonpost.com/2009/05/30/politicians-and-their-all_n_209275.html

Monday, May 16, 2011

Moin Akhtar......Khiraj-e-Aqeedat

Moin Akhtar………………….a tribute from India

Koi bhi achanak huee maut ab mujhey nahee chaunkaati. Aisey haadson ki kasrat se zehan aadi ho chala hai lekin Moin Akhtar ka yun achanak chaley jana hosh-o-hawaas pe bhaari para. 23 April ki shab dilli mein bahen k ghar par Kuwait wapsi k safar se pehle ki udaasi se kamyab jung lartey hue IPL match dekh raha tha k ye khabar mili. Tab se ab tak is haqeeqat ko samajhne mein aur wo alfaaz dhundhne mein waqt lag gaya jo mujh jaisey mamooli insaan ki aqeedat is qaddawar fankaar se bayan kar sakein…khabar sunkar pehli kaifiyat wo huee jo Javed Akhtar sahab ne bayan karee, “kuch log itne zinda dil hotey hain k socha hi nahee ja sakta k wo mar bhi sakte hain”….Moin Akhtar bhi aisi hi ek shakhsiyat thee…wo fan k us urooj pe they k jinse dil abhi bhara nahee tha……zamana badey shauq se sun raha tha…..humeen so gaye dastaan kehtey kehtey……..

Shuroo se hi ghar pe adabi mahaul mila, filmon pe tabserah bhi uska ek hissa tha. Dilip Kumar ka tazkera Kasrat se hota tha….yun kahiye wo hamein virasat miley aur unki shakhsiyat humein ghutti mein pilayee gayee lihaza merey wajood par unka rang itna pukhta hai jiska ab utar pana taqreeban namumkin hai…aur shayad zarurat bhi nahee hai….. bachpan mein hamarey role model badey bhai they jo Kishore Kumar ko bahot Umdah gaatey they nateejan hum bhi unke idol ko follow karne lagey……mehfilon mein jo gaane bhayya gaatey they wo hum Akeley mein gungunaya kartey lihaza shuroo se hi Kishore da bhi dil-o-dimaagh pe chasp hain. Performing arts se talluq rakhne wali in do hastiyon se shanasaee ya khaasi waqfiyat bachpan mein hi ho gayee…..bahot baad mein jab unke fan ko samajhne ka shaoor aaya to humne baqayeda unke paristaron ki fehrist mein apna naam likhaya. Lekin jis ek shakhs k fan ko maine badey hotey hue lamha dar lamha samjha wo Moin Akhtar they.

Stage se wabastgi bhi bachpan se rahi….1975 International Childrens Year tha jab umr taqreeban 6-7 baras ki rahi hogi, is saal pehli martba AMU k Kenndey Auditorium mein perform kiya. ….jin logon ne stage kiya hai wo bakhubi jantey hain k live audience ke samne perform karne ka nasha kya hota hai……lihaza is exposure aur ghar k mahaul ki wajaha se adakari, mausiqui ka shauq parwaan charha..

1977 lag gaya tha aur janata party ki hukumat mein Hindustan Pakistan k rishton ki talkhi kuch kam huee, border khul gaya aur logon ka aana jana shuroo ho gaya ……
Isi dauraan Moin Akhtar ka pehla audio cassette release hua aur isne hindustan k urdu speaking awaam mein tehelka macha diya…….audio comedy entertainment ka ekdum naya concept tha kyunki filmon k alawa tafreeh k naam par radio hi tha jis par bhi zadatar filmi programs nashr kiye jatey they….sirf awaz se mizaah paida kiya jasakta hai logon ko is cassette ko sunkar pata chala….aur jab ye aaya to iske lateefey itne maqbool hue k rozmarra ki zabaan mein istemaal kiye jaane lagey…..Moin Akhtar k mukalmon ki adayegi ne purane chutkulon mein bhi nayee jaan de di…………chahey wo angrezi film Mackenna’s Gold k scene ki manzarkashi ho ya Hashim Bhai Kashim Bhai k mushairey ka bayan ho, har presentation shaahkaar tha…….ye lateefey itne zada maqbool hue k us daur k kuch log ab bhi apni bol chaal mein aksar inka istemaal kartey hain……..jo log bhool gaye hon unhe ek lateefa yaad dilate chalun jisme ek gaanv k sahib apne dost ko pahanne k liye apna pajama detey hain aur panchayat mein introduce karate hue bol detey hain……”sadey pind de chaudhary inna di bade kheti ibaari…….par pajamma mera hai………” is lateefey ka aakhiri jumla……”ae le tu phad apna pajama” itna hit hua k aaj bhi is jumley ko main ab bhi tafreehan yahan tahan istemaal kar leta hun…...

1978 mein India Pakistan ki cricket series huee jisme test matches live telecast hue aur isi daur mein VCR bhi a gaya. Amritsar mein recorded Pakistani TV plays ghar ghar mein pahoch gaye….Pakistan television ne ek tarah se Hindutasn k urdu speaking awaam ko mureed kar liya aur isi tarah hamari filmon ne Pakistani awam ko deewana bana diya…Amitabh Bachchan phenomena sarhad paar bhi shiddat se mahsoos honey laga…...Moin Akhtar khud Dilip Kumar ke shaidaai they aur unki bahut umdaah naqal kartey they….balki PTV ke bahot se maqbool artists khud ko Dilip Saheb ki parchaii se azad na kar sakey aur usi andaz mein acting kartey they…Moin Akhtar taqreeban har stage program mein Dilip Kumar ki mimicry zarur kartey they…ye dono mulkon k beech ek khubsurat daur raha jab cultural exchange urooj pe tha……Hamarey mulk mein fan ki hamesha qadr huee hai aaj bhi Adnan Sami, Rahat Fateh Ali waghaira Pakistan se zyadah yahan maqbool hain aur yaheen rehtey hain….ye hamarey mulk ke awaam ka badapan hai jo bawajood tamaam talkhiyon k Pakistani fankaron ki qadr kartey hue unhe aala muqaam detey hain………isko yun bhi kaha ja sakta hai k fan kissi sarhad ko nahee maanta...wo is bandish se azaad hai..

Khair, 80’s mein hamarey ghar mein bhi VCR aa gaya aur kiraaye par cassettes aaney lagey…films dekhne par thori pabandi thee lekin PTV k dramey kasrat se dekhey jaatey they…...mujhey in dramon ka chaska lag gaya aur main baqayedgi se inki study karta tha….beinteha umdaah urdu aur bemisaal adakaari…..ye dramey ek nasha ban gaye they……Ankahi, Tanhaiyaan, dhoop kinarey Haseena Moin k shaahkaar they jinka koi saani na tha a hai…..mujhey Haseena Moin se mulaqaat ka sharf haasil hai jab Amstedam se Kuwait tak ki flight mein wo marey saath theen aur unhone meri PTV ki maloomaat ko saraha bhi……

Moin Akhtar ne stage aur TV anchoring ko naya aayaam de diya tha…anchoring suit boot stereo type se bahar ayee aur apni mojoodgi ka ehsaas karane lagi….Moin Akhtar ki barjastgi aur shararat se bhari muskurahat achchi se achchi celebrity ko bauna bana deti thee mujhey unke aise beshumar interviews yaad hain jinme unhone apne se oonchey qad wali celebrities ko apne besakhta jumlon se baghlein jhaankne ko majboor kar diya……..unki performances dekhne k baad mujhey aksar rashk hota tha k ek insaan mein itna talent kaisey mumkin hai ?? jo na sirf ek stage performer hai balki ek achcha script writer, actor aur theek thaak sa singer bhi hai…...Angan Terha mein Shayar ka unka kirdaar, Rozi ka double role, eid train mein hakley ka kirdaar…….kiska zikr kiya jaaye………… har ek performance pe mazmoon likha ja sakta hai……. Dustin Hoffman ki Tootsie se inspired Rozi mein Moin Akhtar ne dono male aur female characters itne bakhoobi kiye k ek taraf jahan beinteha hansaya waheen rula bhi diya…….. ek chota sa drama tha eid train….jisme Akhtar Hakley baney they aur “Abey Lota Mila” unka takiya kalaam tha….ye jumla main aaj bhi aksar kisi khoi huee cheez ko dhundhtey logon se poochta hun , “abbey lota mila” …

Moin Akhtar ko Indian subcontinent mein standup comedy ka baani agar kaha jaaye to shayd ghalat na hoga… unke scene pe aaney k baad bahot se standup comedians aaye Jinmen Umar Shareef, ustaad k fan k kaafi qareeb aa gaye. Donon ne stage play “Bakra qiston pe” mein ek saath kaam kiya aur comedy ko inteha par pahoncha diya…Umar Shareef ne bazate khud ek umdaah fankar hotey hue bhi hamesha Moin Akhtar ko original ustaad ka darja diya….Hindustan ki entertainment industry ne hamesha unke contribution ko maana aur unke inteqaal k baad johny lever ne kaha k Moin Akhtar unke inspiration they.

90’s mein jab Moin teamed up with Anwar Maqsood in Loose Talk, history was created ….is program mein writing creativity aur adakaari ki nayee bulandiyan define ki gayeen……ye program musalsal 7 saal tak chala aur pakka nahee hai par suna hai k Guinness book mein Moin Akhtar ek program mein maximum characters adaa karne k liye darj kiye gaye…Lagataar 7 saal tak taqreeban har haftey ek naya kirdaar likhna Anwar Maqsood ki zahanat ki daleel hai aur itne arsey tak har haftey ek naya kirdaar adaa karna Moin Akhtar ki azmat ki sanad hai…....Moin saheb ki badqismati ek ghareeb mulk mein paida hona rahee warna mera yaqeen hai k agar ye shakhs kisi west ke mulk mein paida hua hota to naa jaane kis muqaam par hota.

Baharhaal apne hunar apne fan se samaj mein muskurahatein bikherne wala ek sutoon dhah gaya…inse mulqaat ki meri hasrat ab hamesha k liye dil hi mein reh gayee….meri qalam mein jo bhi tootey phootey alfaaz they likh diye lekin ye meri aqeedat ko bayan karne k liye nakaafi hain…..
Moin Bhai, zindigi badastoor jaari hai lekin apke baad dunia mein hamara dil thora kam lagta hai……………..
Dhoondo Ga'y Agar Mulkon Mulkon Milnay kay nahin, Nayaab hain huM Khuda Hafiz Moin Akhtar

Saturday, May 7, 2011

Nostalgia........

Nostalgia-Class of 83 OLF
Abhi kuch baras pehle TV per ek serial aaya karta tha “The Wonder years” aur main isko bila nagha dekha karta tha becoz it reminded me of my wonder years in school. Life was beautiful then, full of mischief and innocence. Even now after almost halfway through life, I fondly remember those friends, my numerous crushes, sports, teachers and exams.
I went to Our Lady Of Fatima school from class 1 till 10th which was or rather is still the best school in town.
Probably in mid of 2010 I met Akhilesh and Sheeba on the facebook and communication followed. Despite a gap of nearly three decades in between I could recall these two school friends distinctly. Finding them after these years was truly exciting.
Online interaction graduated to phone calls and then someone from the three of us projected the idea of meeting sometime. Desire to meet in person grew and eventually quite unbelievingly we were around 35 classmates who met on the 2nd April 2011 at Ghaziabad Indian Air Force base where Akhilesh is posted. It was my moment of pride was when at the gate of air base, a young air force boy politely asked us whether we were Wing Commander Chauhan’s guests. I was overjoyed at being so respectfully welcomed and that my childhood friend was “Topgun” a-la Tom Cruise. By the way in one of his pictures on FB he does look like the Hollywood star, on a sports bike next to a light airplane on runway.
I being far away in Kuwait could do no better than giving suggestions about venue and food. Akhilesh and Sheeba beautifully coordinated among the classmates and an account “Class of 83 OLF” was created on FB by Akhilesh and it grew bigger within months. Phone numbers were exchanged and these two minds working behind this re-union interacted with other friends over phone. I planned my trip to India accordingly. I believe Akhilesh was encouragingly supported by Supriti, his very sweet wife.
The airbase inside is a different world, Lush green with luxurious houses and deep woods all around. Initial gathering was on roof of a sports club overlooking the golf course. Setting was perfect, weather was soothing and emotions were heightened beyond capacity. Nostalgia was being defined; hugs were passionately squeezing and long. I don’t have words and how would anyone know what it feels like meeting friends separated by 28 years. It is beyond comprehension for those who have not experienced it. I have practically observed that school friends connect at same frequency and energy that flowed between us during school days, far from inhibitions. Except ounces of flesh or grey hair nothing had changed much, their mannerisms, speech and faces were just the same which I had in my memory or which I sometimes dreamt of. Some of them have grown in stature and money but this day we met like school going teenage boys and girls full of joy and enthusiasm. Young children of these friends who had accompanied to this union must have enjoyed their parent’s return to school age.
Honestly speaking, I could not recall some of the faces but with the remaining ones attending this meet, I had beautiful associations during school. Akhilesh was in skit which we presented in farewell party to outgoing class X. He was a real naughty character full of gimmicks, naturally good at comedy. Rehearsals were hugely entertaining. We, including Mrs. Pant, our class teacher, often would have tears in eyes, laughing. Akhilesh and I continued meeting even after high school till he qualified and moved to NDA.
Sheeba was the most smiling face of our batch, none could ever know even if she was sad or she was actually never sad as she always smiled. Meeting Iqbal bhai her husband and her lovely kids was a beautiful experience too. Iqbal bhai is a chartered accountant; his pure lakhnavi andaz in chaste Urdu is a treat to soul.
Mukesh was the chairman of our Khadda committee named after a small crater in corner of OLF sports field. This khadda was surrounded by bushes and three or four of us would go there to eat lunch in recess. Aijaz Masud and Pankaj are the other two whom I can recall.
Recess se yaad aaya k cycle stand k barabar mein ek canteen tha jahan par samosey miltey they 4 aaney ka ek hota tha aur us samosey ka zaiqa school k baad phir kaheen nahee mila. Jis din jeib mein aath aaney hotey they us din lagta tha k duniya pe apni hukumat.
I have fond memories of almost all present that day, Rohit was undoubtedly the most handsome guy in our class, a blonde with neatly creased uniform always. Anupama was another ever smiling face who, if I am not mistaken was extremely fond of playing basketball. After passing out from school we learnt that Rohit and Anu married. Before Mujib Zuberi’s genius was discovered, Amber was the only genius we knew. As a quiet and composed boy he called for respect even from the teachers. As anticipated and predicted by Gupta sir, he topped in boards and not Sachin Saxena who otherwise was always “First in Class”. Amber remains every bit the same, a sober Mathematician. Even though Mujib Zuberi despite trying hard could not make it to the event, yet, he was fondly remembered by almost all there. Few days later in Aligarh some of us gathered again at Rohit’s place and he joined. There we learnt he was OSD (Controller of Exams) in AMU. A post normally held by civil services personnel.
After this initial meeting and group photographs, we moved down to a room for a formal gathering. Akhilesh spoke for a while and I took over from him. It was around 2 in afternoon and the world cup final between India and Srilanka had just begun in Mumbai and could be seen on the TV hung on the wall to my left. I was extempore in telling the gathering that in 1983 when we passed high school, India lifted the world cup and today we are meeting, we would win today too. The guys cheered. I then acknowledged Facebook without which it would have been nearly impossible to meet almost all of these childhood buddies. Finally I sang my all-time favorite Kishore Kumar number “AA Chal k Tujhey Main Lekey Chalun Ek Aisey Gagan k Taley”. Applause was more formal than to take as real appreciation.
All of us then briefly introduced ourselves where we stand currently in life as family and professionals. Although almost all have impressive profiles I was particularly impressed by Sharad whose wife is a talented poetess who beautifully sang her own lyrics in her own composition.
Midway through this session lunch was served, simple yet, delicious food added flavor to the party.
I would belittle the whole event by not mentioning Gauri who came all the way from somewhere near Kargil and Anand who flew from Chennai only to attend this meet.
We started dispersing around 5 in evening with determination to keep meeting in future too. If not the best, this was one from the best days of my life so far, which I will cherish for life.
Since then our FB accouts are flooded with comments and expressions of regrets from those who missed out. I found the best comment as “with Gauri commanding her Brigadier husband, Bharat in control of sea and Akhilesh guarding the sky” we (The class of 83) is a power to reckon with.
I conclude with the lines below thanking Akhilesh and Sheeba and all those who attended.
Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha
yahin hansa tha
yahin kahi pe roya tha
yahin darakhton k saye main
thak k soya tha
Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha
Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha……………………………..