Saturday, July 26, 2008

Log Kuch Bhi Keh detey hain

Tamheed (Introduction)

Kuch din pehle is khaleeji mulk ke ek siasatdan ne parliyaman mein darkhwast di ki kharjiyon ke liye alag aspatal bana diye jayein taki muqami bashindon ko apne aspatalon mein kharjiyon ki makrooh shaklein na dekhni padein.....mazey ki baat ye rahi ki jin mohtaram ne ye peshkash ki thee wo kissi local "Islami" party ke numaindey hain...ab bhala kaun himmat karey inse poochney ki k ye "Islamist" ki kon si definition ke alambardaar hain..

Yahan ke aspatalon mein pehle se hi ek qanoon bana hua hai jiske tahat muqami logon ko aur kharjiyon ko alag alag qism ki dawaein di jati hain....zahir hai muqami logon ke liye behtar aur qeemti dawaien hain aur ghareeb gurba ke liye sasti dawaien......

MUDDA

Parson tak mera sawal tha k duniya ke kis aur mulk mein aisa hota hai ? jahan mareezon mein is qism ka farq kiya jata ho..............parson tak main is sawal ko poochne ka haqdaar tha...magar parson ke baad agar koi bhi hindustani ye sawal poochega to usey jawab milega "yahan ke aspatalon mein kam se kam dawainyan to di jaati hain ilaaj to hota hai....tumharey mulk mein to martey hue, dum tortey hue mareezon pe bam dhamaakey kiye jaatey hain"

Kal se pehle meri ye kaifiyat tab hui the jab kuch arsa pehle ek TV clipping mein Afghanistan mein kaheen 2 mujrimon ko sarey aam saza detey hue dikhaya tha....dono mujrimon ke haath bandhey they unko ukroon baitha diya gaya ek maidaan mein aur AK 47 se unpe tabar tor goliyan barsa di gayeen.........donon aisey girey jaisey ped se paka aam.....3 din tak ye manzar dekh kar khana nahee khaya gaya......kal TV pe Ahmedabad ke Civil Aspatal mein do buree tarah se ghayal jaley hue bachchon ko dekhkar bhi kuch aisi hi kaifiyat hai......niwala halaq se nahee utar raha......un bachchon ka baap jo usi aspatal mein X-ray technician tha halak ho gaya......bachchon ki maan apne shohar ke kriya karam mein bilakhti hui nazar ayee.........

Aspatal mein dhamakey.....26 logon ki maut !!!!!!......... jo is karkardgi pe jashn bana raha hoga us sey khuda nibtega.....hamari haisiyat to sirf unhe baddua dene ki hai.........

issey aage main jo likh raha hun wo unke liye hai jo donon aankhon se manzar ko dekh rahey hain....na ki unke liye jinhone apni ek aankh band karke nazara dekha.....opinion qayam kiya aur hindustan ke tamaam musalmanon pe tabarra bhej diya..........merey saath bhi kuch aisa hi hua....merey ek dost jo bahut taleemyafta hain...........bahut khuley mizaj ke hain aur zindigi ke har nasheb-o-faraz ko bakhoobi samajhtey hain......wo bhi jazbaat ki rou mein beh gaye....fone uthaya aur bahut talkh alfaaz mein mujhse aisey mukhatib hue jaisey main ye khabar sunkar kamyabi ka jaloos nikaal raha hun aur mohalley mein mithaee baant raha hun.........isse pehle ki main kuch samajh paata wo apni baat keh gaye aur akhri jumley mein unhone dhamkee bhi de daali "no one will take it hands down"........ khair main unke mizaj ko jaanta hun.....jab thandey ho jayengey to behtar ho jayengey shayad..........magar unka rawaiyya backed by academic credentials merey saamne ek bahut bada sawal khada kar gaya...kya sab educated log aisa sochtey hain.....kya kiya jaaye jo saabit karey sirf musalmaan hi mujrim nahee hain...

SIYASAT

Is waqye ke siyasi pahloo pe nazar daali jaaye to kuch sawal uth-tey hain.......in dhamakon se kiska masad hal hota hai ? hindustan mein reh rahey musalmanon ka ? zara tasavvur kijiye is waqt Ahmedabad ke musalman kis tarah baarish mein bheegey hue parindon ki tarah khaufzada apne apne konon mein baithey hongey retaliatory action ke intezar mein jaisa Godhra ke baad hua....here I'd like to produce a write up by the president of all India Muslim Forum Dr. Mustafa Kamal added with my thoughts in red

Occurring in quick succession, the bombings smack of some deep-rooted conspiracy against the integrity of the nation, and to unearth the real motive behind these horrific incidents and to� bring the real perpetrators to justice, it is imperative that the investigative agencies must traverse beyond�the traditional stereotype versions andpreconceived notions (as propagated by some TV channels). No doubt, it would be treacherous on the part of every individual and every organization to give a communal hue to the investigations, but certainly it is a great loss to the national cause to harass innocent people� along religious lines.The country, as a single entity, want to know the truth and final conclusions� of the investigations of all such blasts, be it the present� or past ones(was Godhra proved to be plotted by Muslims ?? who did Makka masjid blasts in Hyderabad ?? who did Samjhauta express blasts ?? in the latter two, only Muslims died). Regrettably nothing concrete comes before the people. It is more so required because on the eve of the crucial Parliamentary elections when the stakes are high for political masters, especially in view of new emerging permutations during the recently-held voting on Trust Motion,�the communal hatred is the best instrument for them to achieve their electoral goal(This probably says all.....to those who wish to use mind...my question is who benefits most by inciting communal hatred ? why all the blasts, Rajasthan,Karnataka and Gujrat in recent days occurred in BJP goverened states and that too just 9 months away from elections ? isnt there an imbalance in the equation that these blasts were done by retaliatory Muslims 6 years after Gujrat riots ?).While hoping for the� truth to come out� through impartial prove, All India Muslim Forum extends its heartfelt sympathies and condolences to the bereaved� and other affected families.

I am sad....... so is every other human who learned about this tragedy.......aao matam karein...marne walon ka nahee....unka jinhone ye kiya......

2 comments:

Piyush k Mishra said...

yahan bhi baat wahi hai.shuruaat achhi hai.bahut sahi mudda uthaya hai aapne.tamheed achhi ban padi hai magar MUDDa section mein jo likha hai aapne-aapke dost ne phone kiya aur aapko ulti baatein sunaai...us se aisa lagta hai unka cal karna aapko zyada khatakta hai aur shayad unhone cal nahin kiya hota to aap ye mudda uthate nahin.shayad!!

doosri baat aakhir aate aate aap phir bhatak gaye hain.phir wahi blaming.ek aam aadmi ka mudda uthane se zyada ye political bahas jaisi ho gayee hai.ye aur behtar ho sakta tha.jaisa har terrorist attack ke baad hota hai,har insaan doosre ko blame karta hai,kuchh waisa hi ho gaya hai ye article bhi.

ek sawal poochhna chahunga-Godhra ke alawa koi aur riot yaad hai aapko?

Unknown said...

Thanx Piyush for your feedback....haan bahut se riots yaad hain...i have grown up in city of riots "aligarh"
tumhari baat sahi hai ki agar dost ne fone na kiya hota to mudda is tarah se nahee uth-ta..I was preparing to write about being a muslim in present world...probably i'd have started on it..after this happening...
nyways thanx n keep writing
Mujeeb