Wednesday, December 11, 2013

Ameer Nishan....................Revisited


Amir Nishan - Revisited

Aligarh apni university aur talon ke karobaar k alawa ek aur cheez k liye mashoor hai….Ameer Nishan. Duniya k kissi koney mein rehne waley kisi bhi Alig se jab Ameer nishan ka zikr kijiye to ek chamak unke chehrey per aa jati hai….unki koi na koi yaad is jagah se zarur munsalik hogi…….main jab apne do bachpan k doston ke saath New York k times square ghoomne pahuncha unmein se ek ne is jagah ka tarruf ye keh karaya k “ ye yahan ka Ameer Nishan hai”………

Ameer Nishan bataur bazaar mashoor hai aur is bazaar ki ahmiyat ka andaza yun lagaiye k hamari ek bahan jo  dilli mein rehti hain har dedh do maheene baad Ameer Nishan se shopping karne Aligarh aati hain…….ek doosri bahen jo Amreeka rehti hain apne kapre silne yahan bhejti hain……… …………….ye parh k agar kisi ke zehan mein Ameer Nishan ka  south-Ex type market ya Chandigarh ke sector 17 ka naqsha ubharta hai to bata dun, ye sirf ek patli si sadak hai jo taqreeban ek kilometer ya ussey kuch kam lambi hai jiske dono taraf choti choti dukanein hain……khaleej mein rehne waley ek dost ne is jagah ka naam itna suna tha k jab wo kissi shadi mein shareek honey Aligarh aye aur is bazaar ko dekne  gayeto isey dekh kar jo mayusi unhe huee wo naqabil-e-bayan hai……….badi mushkil se unhe samjhaya gaya ki is jagah ko samajhne k liye Aligarh mein kuch arsa rehna zaruri hai…….

Ameer Nishandarasl ek kothi ka naamhai  jisko k suna hai Sultana daku ki bewa ne banwayi  thi,  jinhone shauhar k inteqal k baad usi police afsar se nikah kar liya jisne uske shauhar ko pakra tha…hamarey bachpan mein ye jagah khaasi sunsaan si thee aur hum jagah jagah maidanon mein gilli danda, kanchey aur cricket kheltey  ya patange udate they…..80 ki dahai tak Amir Nishan chaurahey par kul mila k 8-10 dukanein theen jinpar raunaq Abdullah school ki chutti k waqt zada nazar aati thee….kuch to waqaee khareed farokht waley  hotey, they kuch khamakha ke nazrein senkne waley hotey they …….jisko Aligarh ki zaban mein vitamin G (girls) kehtey they ya shay dab bhi kehtey hongey………….

Chaurahey k bilkul koney par Nanhe mamu ka Charminar hotel hua karta tha  jismein na to minar thee na hi wo hotel tha….ek chai ki dukan thee jiske side waley cotey se  maidan mein kursiyan aur mez dali huee theen jahan log chai ki chuski letey they…..Nanhe mamu Aligarh  ke chaltey phirtey google they jinhe shahar ke tamaam logon ke baarey mein shajrey samet pata tha……

Charminar khas taur par Ameer Nishan ki ziyarat k liye aaye logon ka markaz tha jo bahot bahot door se khaas taur per Abdullah ki chutti k waqt aaya kartey they aur kisi “khaas” rikshey ya cycle ke intzar mein  baith kar chai peetey …… kuch mahaz deedar karke khush ho jaatey , kuch saath saath peechey peechey unko gharon tak chor kar aatey ……aisi ek tarfa road romance ki bahut si kahaniyan bina kisi nateejey k saalon tak chalti theen ……..Ameer Nishan ke kuch tourists aisey bhi hotey  jo Sir Syed nagar mein rehtey they magar Art Faculty via Ameer Nishan jatey …………aisey kuch mehman aksar hamaarey ghar bhi waqt be waqt tapak partey ,  jinhe chai pilaye baghair tarkana mushkil hota tha……..

Chaurahey k ek koney par Haseen bhai ki dukan “Biscuit Corner” k naam se thee aur  samaan se zyada ye dukan Haseen bhai ki jumle baazi k liye mashhoor thee…..chaurahey se guzarne wali larkiyon ki koshish rehti thee k wo jitna mumkin ho sakey is dukan se bachkar niklein…..mera maqsad larkiyon ko cherne ko badhawa dene ka nahee hai lekin Haseen bhai k kuch jumle itne mashhoor ho jatey they jinhe log aksar doosrey mauqon par bhi istemaal kar liye kartey ……iske alawa unke fiqrey  itne mazedar hotey  ki jis par kasey jatey  wo bhi iska maza leti nazar ati theen …………….Sridevi ki film Chandni un dinon bahot maqbool huee aur safed salwar qameez ka libas larkiyon mein khasa hit ho gaya.. ek saheba bahot hi saleeqey se safed libas mein rickshey mein baithee Haseen bhai ki dukan ke samney se jab guzreen to Haseen bhai ek lambi saans lekar zor se boley  “ kya zamana aa gaya  yaaron, merey zinda rehtey hue bewa ka libaas pahan rakha hai”………….aas paas ke logon k alawa un saheba ko bhi hansee rokna mushkil ho gaya……….ek martba unka comment mistime ho gaya aur ek umr raseedah khatoon ko laga jaisey unpar koi fiqra kasa gaya hai……….wo tunak kar boleen “Miyan tumhari maan k barabar hun” ispar Haseen bhai ne jawab diya “hum bhi abba k liye hi dhoondh rahey hain”…….suna hai Haseen bhai ki zati zindgi mein bahot si tragedies theen lekin  inko shikast detey hue wo logon k chehron par muskurahat bikhertey rahey……….    
 
Mujhey yaad hai Chaurahey par teen char dukanein aur theen, ek atta chakki thee jisko ek laheem shaheem admi chalata tha jo bechara kis beemari ki wajah se jismani taur par bahot bada ho gaya tha Sher Mohammad ki mithaee ki dukan par kul mila kar 4 cheezein bikti theen………..subah subah jalebi, dopahar ko samosa aur namakparey aur sham ko malayee wala kullahd ka doodh…..ye dukan ab bhi hai jispar taqreeban utni hi cheezein milti hain jitni 20-30 sal pehle milti theen………….ek cycle marammat ki dukan thee jsipar kiraye ki cycle milti thee…..agar ghar ka koi saman dodhpur se ana hota tha to ammi aath aaney extra deti theen jis se hum kirey ki cycle lekar dodhpur jatey they……….

Ameer nishan ki bakery par do teen tarah k biscuits, chotey waley cakes aur buns miltey hain. Meri marhoom Amma ko ye buns itne pasand they ki jab bhi bakery wala buns banata tha khud hi ammi k liye ghar par le aata tha……..mujhey khud iske nankhatyee biscuits bahot achchey lagtey hain  aur duniya bhar k biscuits khaaney k baad bhi mujhey wo zaiqa kaheen nahee milta….Aligarh se aaney walon se main ye biscuits aur dodhpur ki mumphali wali gazak zarur mangwata hun…………

Master Fakhruddin  ka zikr kiye bina Ameer Nishan ka bayan adhoora hai, shayad poorey shahr mein ye akeli ladies tailor shop thee aur main jab bhi udhar se guzra wahan hai tauba machee rehti thee……shayd grahak zada they aur karigar kam jiske cheltey taqreeban har siye hue  kapre mein koi na koi kami reh jati thee aur khawateen aag baboola hokar ji bhar k masoom se master sahab ko salawatein sunati theen………….kitni hi baar merey saath aisa hua k badi bahnon ne naye kapre try karne ke baad  zor se mera  hath pakra aur taqreeban ghaseet-tey hue Fakhruddin master sahab ki dukan per le gayeen wahan khadey hokar unhe khoob kharee khoti sunayeen phir suit k kharab honey ka matam manati huee ghar ko wapas aa gayeen….

80 ki dahai mein Ameer nishan ki geography, chemistry, botany, zoology, sab,   “ unique store” khulne ke baad badalni shuru huee aur dekhtey hi dekhtey is jagah ka naqsha badal gaya……….is choti si dukan par ladies aur bachchon k kaprey biktey they  aur ye dukan itni kamyab huee k iske aaspaas k business bhi chal nikley aur aaj ki tareekh mein is market mein khawateen ki zarurat ki taqreeban har cheez milti hai……….


Itwaar ko Ameer Nishan mein mela lagta hai aur iski  raunaq alag hoti hai….is din Abdullah college ki hostel ki larkiyan  outing k liye subah se sham tak apni apni khareedari k liye bahar rehti hain. Achchey achey kaprey pehne hue larkiyon k groups har taraf nazar aatey hain lihaza bahot sarey larkey bhi larkiyon ko impress karne ke tamaam tareeqe istemal kartey hue aaspaas nazar aatey hain………hamarey university ke daur mein parfumes to mehngey they lihaza zadatar hostel k larke old spice ka after shave jo shayd 7 rupaiye ka hota tha apne kapron par chirak kar nikaltey they……motor cycle aur goldflake ki cigarette status symbol hua kartey they aur bahot se hamarey dost gold flake ki dibbi mein capstan rakha kartey they …..

Donon eidon se pehley chand raat ko Ameer Nishan apne glamour k urooj ko pahunchta hai taqreeban ek hafta pehle se dukanon saja li jati hain aur der raat tak khulti hain khaas taur par tailor shops….eid ka ailan hotey hi aisa lagta hai jaisey poora shahr is chotey se bazaar mein samaa jayega………sabse zada chandi choori aur mehndi lagane walon ki hoti hai…sadak ke donon taraf choori ke thele aur mehndi lagaane waley baith jatey hain……………mehndi lagwane k baad geeley hathon ko aasmaan mein uthaye, mushkil se apne dupattey sambhalti larkiyan badi mushkil se khud ko  bheed ki dhakka mukki se bacha pati hain ……

Chand raat ko hamarey doston ka group bhi begum bazar mein Zahid ki kaprey ki dukan par jama ho jata tha…..kuch sharmeeley dost kaprey khareedne ke bahaane dukaan mein andar khadey reh kar nazaron ka lutf uthatey they, kuch baqayedgi se bahar kadey hotey they……kuch ek achchey jumle sunne ko bhi mil jatey they……ek dost ne doosrey se poocha “jigar chand dekha ?” jawab mila “naheen yaar intezar hai, tumne dekha ?? unko jawab mila  “naya to nahee, haan ek purana chand dikha tha” ……..paas mein khadey teesrey dost ne luqma lagaya “do chotey sitarey bhi saath mein they”………………

Ameer nishan, logon k liye bazaar hoga…………..hamarey liye bachpan ki yadon ka zakheera hai……raat ko khana khaaney k baad dodhpur tahaltey hue jana aur chotey ka paan khana.....ya yun hi transister lekar chaurahey tak tahaltey hue gaane sunna,,....sab maazi ki batein hain magar zehan mein taaza hain.....halanki shahar chorey hue 16 baras ho gaye hain.............

suna hai ajkal wahan ka mahaul bahot kharab ho gaya hai…………lekin duniya mein kaun si aisi jagah hai jisko mahaul ki qasmein khayee ja sakein……………………..

Ameer nishan zindabaad……………………….